MISS U


Mujh ko kisi Aahat ki Aas rahti hai      
Mujh ko kisi Aahat ki Aas rahti hai Nigah ko kisi surat ki Peyas rahti hai Tere bin kisi cheez ki kami to nahi Magar tere Bin Tabiyat udaas rahti hai ---
----------------------------------------------------------

bikhar rahi hai meri zaat use kehna    
bikhar rahi hai meri zaat use kehna, kabhi mile to yahi baat use kehna, wo sath tha to zamana tha humsafar mera, ab koi nahin hai mere sath use kehna, usse kehna k bin us k din nahin katta, sisak sisak k katti hai raat use kehna,usse pukaroon ya khud he pohanch jaoon us k paas, ab nahin rahe wo halaat usse kehna.
-----------------------------------------------------------------

Kaash who nagme hame sunaye na hote    
Kaash who nagme hame sunaye na hote, Aaj unko sun kar aansu aye na hote. Agar isi tarah bhool hi jaana tha, To itni gehrai se dil me samaye na hote
------------------------------------------------------------------

MAIN MUHABBAT HO    
MAIN SAHIL PER LIKHI HOI TEHREER NAHI JO LEHRO SAY MIT JATI HAI MAIN BARISH KI BARASTI BOND NAHI JO BARAS KAR THAM JATI HAI MAIN KHAWAB NAHI JISAY DEKHA OR BHULA DIYA MAIN SHAMMA NAHI JISAY OR BHUJHA DIYA MAIN TO HAWA KA JHONKA NAHI JO AYA OR GUZAR GAYA MAIN CHAND BHI NAHI JO RAT KAY BAD DHAL JAYE MAIN TO WO EHSASS HO JO TUJ MAIN LAHOO BUN KAR GARDISH KARAY MAIN TO WO RANG HO JO TAYRAY DIL PER CHARAY TO KABHI NA MITAY MAIN TO WO GEET HO JO TAYRAY LABO SAY KABHI JUDA NA HO GA MAIN TO WO PARWANA HO JO JALTA RAHAY GA MAGAR KABHI FANA NA HO GA KHUWAB,TEHREER,HAWA KI TARAH CHAND,BONDH SHAMA KI TARAH MAYRAY MITNAY KA SAWAL NAHI KYO KAY MAIN MUHABBAT HO YEH NAZAM ON LARKIO KAY LIYAY HAI JO AKSAR LARKO KO DOKHA DAY JATI HIA AP SAMJHO KAY MUHABBAT KIYA HAI AP LARKAI KISI KAY SATH DOKHA NA KARO AGER MUHABBAT NAHI NIBHA SAKTI TO MUHABBAT HI NA KAROO THANKS
----------------------------------------------------------------------------

hum agar ap se bat nahi kar paaty aisa nahi k       
hum agar ap se bat nahi kar paaty aisa nahi k ap hum ko yad nahi aatay mana k sab rishtay nibahie nahi jatay par jo dil me bus jaien wo bulaay nahi jatay
----------------------------------------------------------------------------
Aye KHUDA aaj yeh faisla ker dai    
Aye KHUDA aaj yeh faisla ker dai, usay maira ya mujhay uska ker dai, boht mushkil lagta hai us say dour rehna, judaai k safar ko kam ker dai, jitna dour chala gya woh mujh say... usay utna he mujh say qareeb ker dai, nahi likha ager naseeb mein uska naam... tou khatam ker yeh zindagi aur mujhay FANA ker dai.
----------------------------------------------------------------------------

Laboon peh geet to aankhoon main khwaab rekhtay thay    
Laboon peh geet to aankhoon main khwaab rekhtay thay Kabhi kitaboon main hum bhi gulaab rekhtay thay Kabhi kesi ka jo hota tha intazar hamain Bara he sham-o-sehar ka hisaab rekhtay thay
---------------------------------------------------------------------------

Kismet toot gai      
Kismet toot gai, Dil kay taray toot gaye, Who bhi rooth gayi, Sapnay bhi toot gay, Khazanay main rakhay the sirf do aansoo, Jab yaad aai unki to woh bhi lutt gaye.
---------------------------------------------------------------------------

IQRAR KER GAYA KABHI INKAAR KER GAYA       
IQRAR KER GAYA KABHI INKAAR KER GAYA, HER BAR EK AZAAB SE DO CHAAR KER GAYA, RASTA BADAL BADAL K BHI DEKHA MAGER, MAGER WO SHKHS DIL MEIN UTER K SAARI HADEIN PAAR KER GAYA.
-----------------------------------------------------------------------------
KISI KHATIR MOHABAT KI INTEHA KAR DO      
KISI KHATIR MOHABAT KI INTEHA KAR DO ITNA BHI NAHI KEH USKO KHUDA KARDO MAAT CHAHO KISI KO ITNA KEH APNI WAFAON SE USKO BEWAFA KAR DO
-----------------------------------------------------------------------------

Hum aap ko itna yaad kerte hain      
Hum aap ko itna yaad kerte hain jitna aap hame yaad kerte hain Firq sirf itna hai keh hum yaad kerke SMS kerte hain aap SMS perh ker yaad kerte hain.
----------------------------------------------------------------------------

Kissi ki chahat pe zinda rehnay walay hum na thay      
Kissi ki chahat pe zinda rehnay walay hum na thay... kissi pe mar mitnay walay hum na thay... par adat ban gayi hai aap ko yaad karnay ki... warna kissi ko yaad karnay walay hum na thay...
------------------------------------------------------------------------------
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise   
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise saath chal mauj-e-sabaa ho jaise log yuun dekh kar hans dete hain tuu mujhe bhool gayaa ho jaise ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa yuun na mil hamse Khudaa ho jaise maut bhii aaii to iss naaz ke saath mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise aise anjaan bane baithe ho tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise zindagii beet rahii hai "daanish" ek bejurm sazaa ho jaise
------------------------------------------------------------------------------

*****Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai*****      
Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai Tari yaad jo ati hai to kuch asi aada hoti hai Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai Ab ya duniya mari muha veeran si lagti hai Khushboo tari na hoti hai na tari sada hoti hai Jis des bhi jao tum who des tumhara ho Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai.
------------------------------------------------------------------------------

***Dil Ki Aawaz*****       
Aansoo May Na Dhoondna Humey, Dil May Hum Bas Jaayenge, Tamanna Ho Agar Milne Ki, To Band Aankhon May Nazar Aayenge. Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga, Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega, Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse, Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega. Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai, Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai, Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye, Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai, Waqt To Humey Bhula Chuka Hai, Muqaddar Bhi Na Bhula De, Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte, Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De, Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge, Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge, Aitbaar Zara Soch Kar Karna, Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge. Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge, Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge, Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye, Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge.
-----------------------------------------------------------------------------

*****Pyaar...*****      
Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta Iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta Chahata hoon main tujhe aaj bhi par Teri soch mei apna waqt bekar nahi karta Chahata hoon main tujhe aaj bhi par Teri soch mei apna waqt bekar nahi karta Tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri Isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta Jo kuch mila hai usi mei khush hoon main Tere liye khuda se taqraar nahi karta Par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim Warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta.
-----------------------------------------------------------------------------

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai      
Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota, bay niazi say, magar kanptey awaz k sath, Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota, younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi, Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota, Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka, Warna kajol teri ankhon ka na phela hota, Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota.
-----------------------------------------------------------------------------

kuccha lamhe jo gujare humne unke saath      
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain kuccha lamhe jo gujare humne unke saath.... to phir kabhi khudse baat na ho saki.... bewafa to yeh taqdeer nikli.... ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!! Is se pehle ki dilo me nafrat jaage, aao ek shaam mohabbat me bita di jaye.... Karke kuch mohabbat ki baatein, Is shaam ki masti badha di jaye.
----------------------------------------------------------------------------
hamein apne dil main basaye rakhna       
hamein apne dil main basaye rakhna hamari yadon kay chirag jalaye rakhna buhat lamba hai safar zindagi ka mere dost ek hisa hume bhi banaye rakhna.
-----------------------------------------------------------------------------